Hazrat Imam Hussain Lyrics
Hussain (x4)
Dain Hassan bain Jareey pusht pana hi tu Nabi (x2)
Sar pe Khuda wande jali (x2)
Sina sipr Zehra, Ali
1. Mere maula ko mayussar he khazana kesa
Inka rutba he Imamo mein shahana kesa
Kese kese hein naseebon mein ujale inke
Mere aka ko mere aka ko mila he ye gharana kesa
Marhaba marhaba Mustafa ki bat main
Ba khuda ba khuda sari qainat mein
Gung rha he bus eik hi name…
Hazrat Imam Hussain AS (x3)
Lakho durud ap pe lakho salam
Hazrat Imam Hussain AS
Allah ne kya khub sawara he
Sarkar ke angan me utara he
Har qoum ki ankoon ka sitara he
Hazrat Imam Hussain AS (x2)
Han……
2. Zinda he hussain uska he kirdar bhi zinda
Kirdar jo zinda he uska he mayar bhi zinda
Mayar jo zinda he uska he afkaar bhi zinda
Afkar jo zinda he Azadar bhi zinda
Ibtida ibtida Mustafa ke josh pr
Intiha intiha nezain par buland sar
Gung rha he bus eik hi name
Hazrat Imam Hussain AS
Qadam qadam nagar nagar Ya Hussain
Dilum dilum nazar nazar Ya Hussain
Saza qatoun ki rah guzar Ya Hussain
Kaho kaho ba chashma tar Ya Hussain
Ya Hussain (x7)
3. Tareekh main is jesa na insaan mile ga
Esa na koi aashiq e Rahman mile ga
Na esa koi shah e shahedan mile ga
Na esa koi sabar ka sultan mile ga
Laila laila laila ka pasban
Depana depana Mustafa ka tarjuma
Gung rha he bus eik hi name
Hazrat Imam Hussain AS
Allah ne kya khub sawara he
Sarkar ke angan me utara he
Har qoum ki ankoon ka sitara he
Hazrat Imam Hussain AS (x2)
Han……
4. Har dil main hamain Syed e Abrar mile ga
Har dour main mazloom ka ghum khoar mile ga
Har qoum main Shabir ka zawar mile ga
Har mulk main mola ka Azadar mile ga
Har jagah har jagah momino ke darmiyan
He sada he sada dharkano ke darmiyan
Gung rha he bus eik hi name
Hazrat Imam Hussain AS
Qadam qadam nagar nagar Ya Hussain
Dilum dilum nazar nazar Ya Hussain
Saza qatoun ki rah guzar Ya Hussain
Kaho kaho ba chashma tar Ya Hussain
Ya Hussain (x7)
5. Haton mein alam thame wo ata he Azadar
Han majlis o matam mein hi rehta he Azadar
Maa baap hussaini ho tu banta he Azadar
Mola ye tumhara ha tumhara Azadar
Silsila silsila ye aza ka silsila
Rabta rabta Karbala se rabta
Gung rha he bus eik hi name
Hazrat Imam Hussain AS
Allah ne kya khub sawara he
Sarkar ke angan me utara he
Har qoum ki ankoon ka sitara he
Hazrat Imam Hussain AS (x2)
6. Shabir ka dil dekhe zara dekhe zamana
Wallaha khata jo wohi krke dikhaya
Khushnodiye Khaliq main bhare ghar ko lutaya
Neze pe bhi aya tu usi shaan se aya
Badshah badshah he dilo ka badshah
Cha gaya cha gaya do jahan pe cha gaya
Gung rha he bus eik hi name
Hazrat Imam Hussain AS
Qadam qadam nagar nagar Ya Hussain
Dilum dilum nazar nazar Ya Hussain
Saza qatoun ki rah guzar Ya Hussain
Kaho kaho ba chashma tar Ya Hussain
Ya Hussain (x7)
Han…
7. Kis shan se maqtal main qadam rakhta he shabir
Kab jan ki parwa kiya krta he Shabir
Darta he na jhukta he na ghabrata he Shabir
Lakhoon bhi mukhalif hun tu sach kehta he Shabir
Honsla honsla shahedeen ka honsla
Sun sada sun sada do jahan ki he sada
Gung rha he bus eik hi name
Hazrat Imam Hussain AS
Allah ne kya khub sawara he
Sarkar ke angan me utara he
Har qoum ki ankoon ka sitara he
Hazrat Imam Hussain AS (x2)
8. Han ao krein hum shah e Abrar ka matam
Islam ke Mohsin ke madadgar ka matam
Asgher, Ali Akbar ka aur Ansar ka matam
Zainab, ka Sakina ka Alamdar ka matam
Be khata be khata he gareeb e Syeda
He bapa he bapa tere ghum har jagah
Gung rha he bus eik hi name
Hazrat Imam Hussain AS
(Dain Hassan bain Jareey pusht pana hi tu Nabi
Sar pe khuda wande jali
sina sipr Zehra, Ali)x2
Hazrat Imam Hussain (x2)
Ae shah e Mashriqen ae dile Zehra ka chen
Han mere maula Hussian
Hazrat Imam Hussain (x2)
Aali maqam Hussain (x2)
Unpe salam Hussain (x2)
Hazrat Imam Hussain (x2)
Haye shah e Karbal ap ka ghar lut gaya
Wada wafa krdiya
Hazrat Imam Hussain (x2)
Shahe zaman Hussain (x2)
Zakhmi badan Hussain (x2)
Tishna dahan Hussain (x2)
Hazrat Imam Hussain (x8)