Behan Main Sath Lyrics | Nadeem Sarwar 2008

Behan Main Sath Lyrics

Shareek E Karbala Behan
Meri Musafira Behen

Ya Hussain Ya Hussain

Rasan Mein Bandh Chuka Gala
Lo Chal Parha Woh Qafila
Behen Ghareeb Noha Gar
Sinan Py Jab Parhi Nazar
Khamosh Thy Shaheed Sab
Akhi Ky Hil Rahy Thy Lab
Sinan Py Hun To Kya Hua
Tu Hosla Na Harna
Behan Mein Saath Saath Hun

Ghareeb E Karbala Behan
Dalair Bawafa Behan
Ghamon Ki Alqama Behan
Meri Musafira Behan
Tu Hosla Na Harna
Sinan Py Hun To Kya Hua
Tu Hosla Na Harna
Behan Mein Saath Sath Hun

Wafa Yeh Wada Ho Chuka
Sinan Talak Main Aa Gaya
Main Apna Kam Kar Chuka
Meri Shareek E Karbala
Tu Hosla Na Harna

Sinan Py Hun To Kya Hua
Tu Hosla Na Harna
Behan Mein Saath Saath Hun

Yeh Rassian Yeh Berhian
Qadam Qadam Py Sakhtian
Rida Baghiar Bibian
Behan Karha Hai Imtehan
Tu Hosla Na Harna

Sinan Py Hun To Kya Hua
Tu Hosla Na Harna
Behan Mein Saath Saath Hun

Agar Hai Rasta Kathan
Zara Na Dar Meri Behan
Tu Bey Rida Main Bey Kafan
Hai Waqt Hosla Shikan
Tu Hosla Na Harna

Sinan Py Hun To Kya Hua
Tu Hosla Na Harna
Behan Mein Saath Saath Hun

Qadam Qadam Shahadaten
Guzar Gaiin Qayamaten
Abhi Hain Aur Aafaten
Sambhal Ab Amanaten
Tu Hosla Na Harna

Sinan Py Hun To Kya Hua
Tu Hosla Na Harna
Behan Main Saath Saath Hun

Koi Bhi Ab Nahi Bacha
Bas Abid E Shakista Paa
Yeh Sarbaan E Ghamzada
Giry Jo Kha Ky Ghash Zara
Tu Hosla Na Harna

Sinan Py Hun To Kya Hua
Tu Hosla Na Harna
Behan Mein Saath Saath Hun

Behan Thehar Thehar Yahin
Laraz Rahi Hai Kiun Zameen
Sakina Gir Gai Kahin
Na Mil Saky Jo Woh Hazeen
Tu Hosla Na Harna

Sinan Py Hun To Kya Hua
Tu Hosla Na Harna
Behan Mein Saath Saath Hun

Bahot Qareeb Sham Hai
Hujoom E Khas O Aam Hai
Yazeed E Bad Kalaam Hai
Yeh Waqt E Inteqaam Hai
Tu Hosla Na Harna

Sinan Py Hun To Kya Hua
Tu Hosla Na Harna
Behan Mein Saath Saath Hun

Ghareeb E Karbala Behan
Dalair Bawafa Behan
Ghamon Ki Alqama Behan
Meri Musafira Behan
Tu Hosla Na Harna

Sinan Py Hun To Kya Hua
Tu Hosla Na Harna
Behan Mein Saath Saath Hun

Rehan O Sarwar E Aza
Jo Sham Pahuncha Qafila
Sar E Hussain Ny Kaha
Ulat Dy Takht Sham Ka
Tu Hosla Na Harna

Sinan Py Hun To Kya Hua
Tu Hosla Na Harna
Behan Mein Saath Saath Hun

Leave a Reply

error: Content is protected By the Owner of Nohay Lyrics !!