Alam Bardar Lyrics

Alam Bardar Aata Hai Lyrics | Nadeem Sarwar 2022

Alam Bardar Aata Hai Lyrics

Ye kaun hai? Falak sara larazta hai !
Ye kaun hai? Zameeñ ka dil dhaDakta hai !

Alam Bardar Aata Hai!
Alam Bardar Aata Hai!

Ye lagta hai, Ye lagta hai
Ye lagta hai ke jaise Haider e Karrar aata hai

Alam Bardar Aata Hai
Alam Bardar Aata Hai

Alam Thaame Hussaini fauj ka saalaar aata hai
AlamBardar Aata Hai
AlamBardar Aata Hai

Ye lagta hai ke jaise Haider e Karrar aata hai.

AlamBardar Aata Hai
AlamBardar Aata Hai

Falak sara larazta hai, Zameeñ ka dil dhadakta hai
Fazaan me shor barpa hai, adooñ ka dam nikalta hai.

Jari ye kaun aata hai, alam kaise ubharta hai
Yazidi fauj me halchal, diloñ pe khauf chhaya hai.

Ye lagta hai ke jaise Haider e Karrar aata hai.

Alam-Bardar Aata Hai
Alam-Bardar Aata Hai

Ye lagta hai, Ye lagta hai
Ye lagta hai ke jaise Haider e karrar aata hai

AlamBardar Aata Hai
AlamBardar Aata Hai

Haañ..

Jo thi Karrar ki haibat wohi Abbas ki haibat
Khuda ke sher jaisi hai Ali ke Sher ki taqat.

Wohi chehra wohi seerat, wohi jazba wohi jurrat
Abhi aaya nahi lekin aduñ pe chha gayi dahshat.

Misaal e laa fatah Shabbir ka saalaar aata hai

AlamBardar Aata Hai
AlamBardar Aata Hai

Alam Thaame Hussaini fauj ka saalaar aata hai
AlamBardar Aata Hai
AlamBardar Aata Hai

Haañ..

Abhi ye shor barpa tha, ke gooñja Haideri naara
Misaal e laa fatah, Ghazi achanak samne aaya

Mujhe Abbas kehte hain, jari Lalkaar kar bola
Alamdar e Hussaini hooñ, Ghulam e Sayyad e Waala

Sada deta hua ye Ghazi e Jarrar aata hai

AlamBardar Aata Hai
AlamBardar Aata Hai

Ye lagta hai, Ye lagta hai
Ye lagta hai ke jaise Haider e karrar aata hai

AlamBardar Aata Hai
AlamBardar Aata Hai

Yahañ tanha Dil e Haider wahañ lakhon jafa paikar
Yahañ bus haath me naiza Wahañ Tegh o Sina khanzar.

Yahañ sookha hai mashkeeza wahañ sairaab hai lashkar
Yahañ shauq e shahadat hai wahañ sahuqeen e maal o zar.

Muqabil marhaboñ ke Sahib e Kidar aata hai

AlamBardar Aata Hai
AlamBardar Aata Hai

Alam Thaame Hussaini fauj ka saalaar aata hai
AlamBardar Aata Hai
AlamBardar Aata Hai

Haañ..

Adu se chheen kar dariya Alam Abbas ne gada
Yazidi fauj me us dam achanak shor ye uttha.

Are bhaago tarayi se Ali aaya Ali aaya
Phir uske baad dariya par faqat Ghazi nazar aaya.

Jafa-kaaroñ meiñ bankar maut ki lalkar aata hai

AlamBardar Aata Hai
AlamBardar Aata Hai

Ye lagta hai, Ye lagta hai
Ye lagta hai ke jaise Haider e karrar aata hai

AlamBardar Aata Hai
AlamBardar Aata Hai

Haañ..
Bhara jis waqt mashkeeza, bada yaad aayi Masooma
Liye paan soo e khaima chala saqqa Sakina ka.

Badha jab gird Ghazi ke yazidi fauj ka halqa
Kaha Abbas ne dil me Sakina tum na ghabrana.

Abhi lekar ye mashkeeza tera Gham-Khwar aata hai

AlamBardar Aata Hai
AlamBardar Aata Hai.

Alam Thaame Hussaini fauj ka saalaar aata hai
AlamBardar Aata Hai
AlamBardar Aata Hai

Haaye..
Alam Ghazi dilawar ka jab uske khoon meiñ dooba
Bureeda baazuoñ wala na mashkeeza bacha paya.

Tadapta khaak per dekha jo Shah ne bhai ka laasha
Wafa ko naaz hai tujh par Pukaare Saiyad E Wala.

Khudaya paas ab tere, mera salar aata hai

AlamBardar Aata Hai
AlamBardar Aata Hai

Ye lagta hai, Ye lagta hai
Ye lagta hai ke jaise Haider e karrar aata hai

AlamBardar Aata Hai
AlamBardar Aata Hai

Ye kaun hai? Abbas, Alamdar e Hussain
Ye kaun hai? Abbas, Alamdar e Hussain
Ye kaun hai? Abbas, Alamdar e Hussain

Leave a Reply

error: Content is protected By the Owner of Nohay Lyrics !!