Sabeel E Hussain Lyrics
Sabeel e Husain (4)
Chaley aao, aao aao
Aao aao sabeel e Husain par (2)
zehn mey Karbala ke ho pyaasey (2)
Naam e asgar pey paani pilaao (2)
hongey qush mustafa ke nawaasey
Aao aao…..(2)
Karbala mey Jo tha bund paani,
ye sabeeley hai uski nishaani
Al atash ki sadaaye musalsal,
ho sakina ki tashna dahaani
Uski tashnaalabi yaad rakhna (2)
pyaasey bacho ko dena dilaasey
Aao aao……. (2)
yaad daar e shah e Karbala hai,
iska saaqi wafaa ka qudaa hai
Ye Jo mashk o alam dekhtey,
ho aaj tak ye wohi silsila hai
Saamney alqama behrahii thi (2)
aur aal e Mohammad they pyaasey
Aao aao……(2)
dhoondtaa phir rahaa hai ye paani,
in sabeelo mey apni rawaani
Todkar saahiley alqama ko,
Karta rehta hai ab nauhakhwani
Uski sharmindagi aaj bhi hai (2)
is qadar sayyad fatema se
Aao aao…….(2)
al atash ki sadaa yaad rakhna,
yaad rakhna sakina ka koozaa
Yaad rakhna mashk e sakina,
bharney aaya Jo darya pey saqqa
Teer mashk e jarii pey lagaa tha (2)
Behgaya uskey armaan saarey
Aao aao…..(2)
ye sabeeley hai Jo bhii lagaatey,
aur pyaaso ko paani pilaatey
Unsey qush murtaza mustafa hai,
Fatema ki dua hai wo paatey
Jaam paani ka peeney yahaa par (2)
ambiya aur malaayak hai aatey
Aao aao… (2)
ye sabeelo ka Jo silsila hai,
ye bhi sarwar ka ek maujza hai
Baa qudaa humney salman o meesum,
In sabeelo pey maangi dua hai
Ye sabeel e husain ibne hyder (2)
jaaye hum Karbala mey lagaaney
Aao aao….. (2)