Lanat Bar Dushman e Zahra Lyrics
Ay Ahle aza suno ghum ka ye qissa,
Jis beti ko keh-te the Nabi Umme Abiha
Ummat ne usse bad-e-Nabi khoob rulaya
Darbar me makhdooma e alam ko bulaya
Aaj talak roti he dunya, haan bari mazloom he Zahra sa
Kya ajr e risalat ye Muhammad (s) ko mila he
Us ghar ko jala dala, jahan deen pala he
Shehzadi pe jalta huwa darwaza gira he
Ay momino sar peeto ye gham sab se bara he
Ghurbat e Haidar ka khulaasa, haan bari mazloom he Zahra sa
Socho toh Musalmano sitam aysa huwa kyun
Shehzadi ko darbaar me bulwaya gaya kyun
Siddiqa e konain ko jhutlaya gaya kyun
“Mai jhoot nahi bolti” ye kehna para kyun
Dil ye tumhara bhi kahe ga, haan bari mazloom he Zahra sa
Tareekh me mil ta he qayamat ka ye manzar
Jab ghusl o kafan dene lage Zahra sa ko Haidar as
Jis waqt nazar aya unhe pehlu shikasta
Ek cheekh uthi zor se rone lage Maula,
Nauha he ye sher e khuda ka, haan bari mazloom he Zahra sa
Is gham ke tasawwur se laraz-ta he mera dil
Jo log muslaman the sab ho gaye baatil
Naam unke tabarre me kiya kar ta hun shamil
Mohsin ke bhi qatil hein woh, Zahra sa ke bhi qatil
Hashr talak me toh kahunga, haan bari mazloom he Zahra sa
Baad e paighambar e Islam raha kuch bhi nahi
Us ki taqdeer me matam ke siwa kuch bhi nahi
Ma siwa dard ke, daman me raha kuch bhi nahi
Haye kyun binte Nabi, ye sitam seh ti rahi
Jab ke darwaza gira, keel baazu me chubhi
Silsila barh ta gaya, bass gayi Karbobala
Chal gayi Shah pe churi, aa gayi sham e jafa
Ek roz me Zahra ka bhara ghar huwa barbaad
Mardon me faqat zinda bache Baqar o Sajjad as
Sab qaidi bane Shaam chale, maai’le faryaad
Darbar me zalim ke gayi Zainab e nashaad
Kehti rahi saaniye Zahra, haan bari mazloom he Zahra sa
Mismaar baqayyah me huwa marqad e Zahra sa
Is gham me likha Mazhar o Mesum ne ye Nauha
Ab baarwey Sarkaar banayenge woh roza
Phir hoga wahaN dushman e Zahra sa pe tabarra
Goonje faza’oN me ye nauha, haan bari mazloom he Zahra sa
Laanat Bar Dushman e Zahraس