Jibreel Aur Karbala Lyrics
Haa….
Jab tisri shaban ko aya gul-e-Zahra (sa)
Shabbir (as) ko godi me Muhammad (saws) ne uthaya
Haddar jo khushi se rukh-e-masoom ko dekha
Itne me sada dar pe yeh Jibreel (as) ki aayi
Ya saiyadi qurbaan duhayi hai duhayi
Kehte Jibreel(as) laya hu mehzar Ya Nabi salamalayka
Kehte Jibreel(as) laya hu mehzar Ya Nabi salamalayka
Kehte Jibreel(as) laya hu mehzar Ya Nabi salamalayka
Loh-e-mehfooz ek ek satar laya hu
Ek tehrir hai purdard magar laya hu
Ek safar nama-e-magh mu-e-jigar laya
Din khushi hai magar ghum ki khabar laya hu
Dil me hai khanjar noha zaba’n par
Saiyadi Saiyadi Saiyadi salamalayka
Kehte Jibreel(as) laya hu mehzar Ya Nabi salamalayka
Kehte Jibreel(as) laya hu mehzar Ya Nabi salamalayka
Sath mehzar ke me wo khaak-e-shifa laya hu
Saari duniya ke liye ghum ki dawa laya hu
Umme Salma(sa) ki zaaefi ka asa laya hu
Yani rumaal me maqtal hi chhupa laya hu
Ispe girega khoon-e-bahattar
Saiyadi Saiyadi Saiyadi salamalayka
Kehte Jibreel(as) laya hu mehzar Ya Nabi salamalayka
Kehte Jibreel(as) laya hu mehzar Ya Nabi salamalayka
Sunke Jibreel(as) ki faryad Muhammad (saws)ne kaha kya hai mehzar me likha-2
Mujhko sunao to Zara
Roke kehne laga Jibreel(as)meri jaan fida
Aapke pyaare nawase ka shahadatnama
Karbobala main jaayga dilbar
Saiyadi Saiyadi Saiyadi salamalayka
Kehte Jibreel(as) laya hu mehzar Ya Nabi salamalayka
Kehte Jibreel(as) laya hu mehzar Ya Nabi salamalayka
Bole Jibreel(as) padho mehzar-e-ghum bade salam
Isme shamil hai shahido ke asiro ke bhi naam
Akraba ahl-e-haram chand kanizo aur gulam
Koi maqtal me rahega to koi jaayga shaam
Koi hai be sar koi khule sar
Saiyadi Saiyadi Saiyadi salamalayka
Kehte Jibreel(as) laya hu mehzar Ya Nabi salamalayka
Kehte Jibreel(as) laya hu mehzar Ya Nabi salamalayka
Roz-e-jumma hai likha aur san iksath hijri
Aap ke pyaare nawase ki shahadat hogi
Aap honge na Hasan(as) honge na Zahra(sa)-O-Ali(as)
Sunke Halmin ki sadae bhi na aayga koi
Hoga akela naaz sh-e-Haidar(as)
Saiyadi- Saiyadi- Saiyadi- jaan Hussain(as) jaan Hussain(as) jaan Hussain(as)
Kehte Jibreel(as) laya hu mehzar Ya Nabi salamalayka
Kehte Jibreel(as) laya hu mehzar Ya Nabi salamalayka
Ya Nabi(saws) aapki ummat yeh sitam dhaygi
Jab su-e-Karbobala Shah(as) ko bulwaygi
Aapki aar Madine me na reh paygi
Aapke baad yeh duniya hi badal jaygi
Jaayge maqtal chhordh ke jab ghar
Saiyadi- Saiyadi- Saiyadi- jaan Hussain(as) jaan Hussain(as) jaan Hussain(as)
Kehte Jibreel(as) laya hu mehzar Ya Nabi salamalayka
Kehte Jibreel(as) laya hu mehzar Ya Nabi salamalayka
Joun(as)-o-Hur(as) aur Habib(as) ibne Mazahir Asadi
Kaise jaabaz wafadar hai Wehbe kalani
Qasim(as)-o-Akbar(as)-o-
Abbas(as) alamdar-e-jari
Haye Asghar(as)-o-Aun(as)-o-
Muhammad(as) bhi hai kamsin hi sahi
Shamil-e-mehzar hai yahi lashkar
Saiyadi Saiyadi Saiyadi salamalayka
Kehte Jibreel(as) laya hu mehzar Ya Nabi salamalayka
Kehte Jibreel(as) laya hu mehzar Ya Nabi salamalayka
Haye ab dekhiye Jibreel(as) ki aakho’n se yeh manzar
Ashur ki woh subeh azan-e-Ali Akbar(as)
Ek pyase ko har simt se ghere hai sitamgar
Wo naiza wo paikaan wo talwar wo khangar
Maqtal ke wo muazir ka Laasha sar-e-maqtal
Barchi ka nishaa’n sine pe ek tuta hua palh
Talwar se ek turbat-e-besheer ba nana
Turbat pe phir ek soya hua chand chhupana
Phir kaapte hoto se yeh zamee’n ko yeh batana
Asghar(as) tera mehma’n ise jhoola jhula na
Pani jo mayasar na hua haya duhai
Ashko rida turbat-e-Asghar(as) chadhai
Wo asr ka hangam ghadhi qatl ki
Jab Shimr(la)ne ek pyase pe talwar chalai
Ek ret ke tire pe gayi Zahra(sa) ki jai
Maqtal me behen ro ti rahi
Naize pe bhai
Manzar wo baya’n kaise kare “Mesum o Mazhar”
Baba se kaha Fatema Zahra(as) yeh rokar
Are loot jayga jab dasht-e-bawa me mera ghar
Roe go kaun bhala mere bache ko jakar
Beti se farmane lage Ahmad-e-Mukhtar
Ta hashr ise roe ge duniya me azadar
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain a.s