Bohot Ghareeb Hai Zainab Lyrics
Haye zainab, haye zainab!
Reh gayi dasht me tanha, toh watan yaad aya
Paani paya to har ek tishna dahan yaad aya
Le ke har cheez madina se chali thi zainab
Laash pe bhai ke pohnchi toh kafan yaad aya
Bohot ghareeb hai zainab, kafan bhi laa na saki (2x)
Bandhe the haath mere (2x), qabr me bana na saki
Bohot ghareeb hai zainab, kafan bhi laa na saki (2x)
Galey pe chal ta tha jis waqt, shimr ka khanjar
Bohut qareeb se dekha tha, me ne woh manzar
Laeen ke haath se zulfain tere chura na saki
Kahani sun-ti thi tumse jo apne dadi ki
Woh jis ko tere hi seene pe neendh aati thi
Teri yateema ko teri behen sula na saki
Mere saamne hi jalte the, bhai sab khayme
Sitam he bistar e aabid jalaya aada ne
Ye hadd he jhule ko asghar ke me bacha na saki
Tamache teri sakina ne iss qadar khaye
Me dar rahi thi ye pardes me na mar jaye
Madad ke wastey ghazi ko me bulaa na saki
Ay bhai saam-ne abid ke, me nahi royi
Na koi shikwa kiya he lehed pe ghazi ki
Me apna dard tere saamne chupa na saki
Khud apne aun o mohammad ko me ne bheja tha
Phir unki yaad me maine nahi kiya girya
Magar me rukhsat e akbar kabhi bhula na saki
Ridaen nok e sina se utaar te the laeen
Jo sar se khoon baha surkh ho gayi thi zameen
Bina rida tere laashe pe bhai aa na saki
Rihayi paa ke behen kayse karbala pohnchi
Na kayse girya kare arsalan o mesum bhi
Rasan ke daagh woh majaye ko dikha na saki