Kareem e Karbala Hussain Lyrics
Noha Khwan: Mesum Abbas
Hussain (as) Hussain (as) Hussain (as)
Alif hai Laam Meem Hai…
Azeem tha Azeem Hai…
Najaf Ka Dur, Aqeeq Hai…
Kareem Hai, Shafeeq Hai…
Hussain Vo Hai Hur Ko Jo Azaab Se Nikaalde…
Hussain Vo Hai Jaun Ko Jo Husn De Jamaalde…
Saare Jahan Ko Paalne Waala
Sab Ke Ghamon Ko Taalne Wala
Jiske Karam Se Ahle Wafa Ko Samar Mile
Bezar Ko Zar Mile Kabhi Beghar Ko Ghar Mile
Ho Uska Waasta To Dua Ko Asar Mile
Hur Ko Jinnah Mile Kabhi Fitrus Ko Par Mile
KOI NAHI KOI NAHI BUS HUSSAIN HAI…
KAREEM E KARBALA HUSSAIN
Haan Ye Mere Hussain Ka Jood o Karam Bhi Hai
Jis Ghar Me Hai Namaz Ussi Mai Alam Bhi Hai
Baaqi Hai Gar Azaan to Matam Bhi Gham Bhi Hai
Mera Hussain Malik e Lauho Qalam Bhi Hai
KOI NAHI KOI NAHI BUS HUSSAIN HAI…
KARIM E KARBALA HUSSAIN
Kiske Karam Ki Dhoom Hai… Rahib Kahe Hussain
Jiski Talab Hussain Vo… Talib Kahe Hussain
Duldul Ki Pusht Par Hai Jo Rakib Kahe Hussain
Haan Apna Peshwa Jisse Ghalib Kahe Hussain
KOI NAI KOI NAI BUS HUSSAIN HAI…
Bemisl Hai Karim… Ali Ka Pisar Hussain
Ek Sayeban Qadeem… Ali Ka Pisar Hussain
Do Jag Se Hai Azeem… Ali Ka Pisar Hussain
Alhamd Ki Hai Meem… Ali Ka Pisar Hussain
TERA KARAM MOLA MOLA
TERA KARAM MAULA MAULA
Zair Jo Gaye Karbobala… TERA KARAM
Hajji Ka Laqab Unko Mila… TERA KARAM
Hajj Se Siwa Sawaab Mila… TERA KARAM
Bhooka Na Koi Pyaasa Raha… TERA KARAM
TERA KARAM MOLA MOLA
TERA KARAM MAULA MAULA
Aulaad Wafa Rizq Hunar… TERA KARAM
Hum Sub Ko Mila Zaade Safar… TERA KARAM
Karte Hain Talab Jinn o Bashar… TERA KARAM
Zinda Na Rahain Ho Na Agar… TERA KARAM
Mushkilon Ko Taal De
Ghum Se Jo Nikaalde
Ilm De Kamaal De
Ishq e Lazawal De
Ibn e Lafatah Hai Kaun
Dard Ki Dawa Hai Kaun
Fakhre Ambiya Hai Kaun
Nazish e Khuda Hai Kaun
Hussain Ne Yazeediyat Ko Khaak Mai Mila Diya
Chiraagh e Deen Mustafa Hawaaon Me Jaladiya
Ajal Ne Maanga Ek Sar To Ghar Ka Ghar Luta Diya
Hussain Phir Hussain Hai Sina Pe Bhi Batadiya
YA MOLA YA HUSSAIN YA MOLA YA HUSSAIN YA MAULA YA HUSSAIN YA MAULA YA HUSSAIN
Bad e Hussain Qaidi Hueen Bibiyan Tamaam
Karbobala Ke Dasht Se Pohonche Dayaar e Shaam
Aankhon Se Khoon Bahate Rahe Rah Mai Imam
Hakim Ke Saamne Kiya Zainab Ne Yoon Kalam
Mesum Mere Hussain Ka Jaisa Nahi Koi
Yaani Khuda e Sabr o Raza Bepanah Sakhi
Jiske Karam Ko Dekh Ke Hairaan They Nabi
Phir Kyun Na Saaf Saaf Kahay Mazhar Abidi