Hussain Raazi Lyrics
Zindagi Hai Baraaey Hussain
Dharkan Mein Hai, Aza e Hussain
Hussain Razi, Khuda Raazi
Khuda Raazi, Hussain Razi x2
Meri har saans mein saanson ki rawaani mein Hussain
Meri aankhon sey tapaktay huay paani mein Hussain
Meri aulaad kay bachpan mein jawaani mein Hussain
Hussain Raazi Khuda Raazi
Dil kay qaree(n) Hussaina
Mera yaqee(n) Hussaina
Azmat e Deen, Hussaina
Zindagi Hai Baraaey Hussain
Dharkan Mein Hai, Aza e Hussain
Hussain Razi, Khuda Raazi
Khuda Raazi, Hussain Razi
Mera anjaam Hussaina meri aaghaz Hussain
Meri parwaaz Hussaina Meri awaaz Hussain
Meray Allaha kay raazon mein say ik raaz Hussain
Hussain Raazi Khuda Raazi
Shaahe zaman Hussaina
Noor e Chaman Hussaina
Eeman e man Hussaina
Zindagi Hai Baraaey Hussain
Dharkan Mein Hai, Aza e Hussain
Hussain Razi, Khuda Raazi
Khuda Raazi, Hussain Razi
Chauda masoomo ka aaeena hai Masoom Hussain
Apnay Nana kay Madine say hai mehroom Hussain
Saray mazloomon mein sab say bara mazloom Hussain
Hussain Razi Khuda Raazi
Ranj o alam Hussaina
Soorat e ghum Hussaina
Hai lab e dam Hussaina
Zindagi Hai Baraaey Hussain
Dharkan Mein Hai, Aza e Hussain
Hussain Razi, Khuda Raazi
Khuda Raazi, Hussain Razi
Meray ajdaad kay sajdon ki taharat hai Hussain
Meri naslon ki taharat ki zamanat hai Hussain
Nasl dar nasl chalaygi voh amaanat hai Hussain
Hussain Razi Khuda Raazi
Noor e Azal Hussaina
Khair e Amal Hussaina
Ishq e ATal Hussaina
Zindagi Hai Baraaey Hussain
Dharkan Mein Hai, Aza e Hussain
Hussain Razi, Khuda Raazi
Khuda Raazi, Hussain Razi
Dashte purhaul mein zakhmon say hua choor Hussain
Laashh Akbar kay uthanay say hai majboor Hussain
Zindagi say hai bohat door bohat door Hussain
Hussain Razi Khuda Raazi
Tashna dahan Hussaina
Aye bewatan Hussaina
Hai bekafan Hussaina
Zindagi Hai Baraaey Hussain
Dharkan Mein Hai, Aza e Hussain
Hussain Razi, Khuda Raazi
Khuda Raazi, Hussain Razi
Asr e Ashoor ka kaisay ho bayaa(n) haal Hussain
Hogaya saara badan ghoron sey paamaal Hussain
Milgaey khaak mein Zahra kay sabhi laal Hussain
Hussain Razi Khuda Raazi
Rooh e Nabi Hussaina
Jaan e Ali Hussaina
Hai Fatimi Hussaina Hussaina Hussaina
Zindagi Hai Baraaey Hussain
Dharkan Mein Hai, Aza e Hussain
Hussain Raazi, Khuda Raazi
Khuda Raazi, Hussain Raazi
Sir khulay run mein hai ab Zainabay Dilgeer Hussain
Paeay Sajjad me hai zulm ki zanjeer Hussain
Sholo(n) ki zad pay hai gehwaraey bay sheer Hussain
Hussain Raazi Khuda Raazi
Karbobala Hussaina
Ah o bukka Hussaina
Ha ye sada Hussaina
Zindagi Hai Baraaey Hussain
Dharkan Mein Hai, Aza e Hussain
Hussain Raazi, Khuda Raazi
Khuda Raazi, Hussain Raazi
Noha o Matam o Zanjeer ki jhankaar Hussain
Aey Zafar dashte museebat mein hai ghamkhwaar Hussain
Hashimi behno ki aawaz dilafgaar Hussain
Hussain Raazi Khuda Raazi
Shaam o Sahar Hussaina
Gham ka Safar Hussain
KhooN mein tar Hussaina
Zindagi Hai Baraaey Hussain
Dharkan Mein Hai, Aza e Hussain
Hussain Raazi, Khuda Raazi
Khuda Raazi, Hussain Raazi