Hum Madh E Ali Main Lyrics
Maula Maula Maula Maula Maula Maula
Hum Madh E Ali Main Daar Py Bhi
Lafzon Ko Rawani Dety Hain
Kat’ti Hai Zaban, Kat Jaye Magar
Paigham Zabani Dety Hain
Hum Madh E Ali Main Daar Py Bhi
Lafzon Ko Rawani Dety Hain
Shahid Hain Adayen Mesum Ki
Hum Hain Woh Ali Ky Deewany
Jis Pairh Py Sooli Charhna Ho
Us Pairh Ko Pani Dety Hain
Hum Madh E Ali Mein Daar Py Bhi
Lafzon Ko Rawani Dety Hain
Paishani E Hurr Par Yeh Keh Kar
Roomal Ko Bandha Sarwar Ny
Jannat Bhi Fida Ho Jaye Gi Hum Aisi Nishani Dety Hain
Hum Madh E Ali Main Daar Py Bhi
Lafzon Ko Rawani Dety Hain
Qurban Huye Jab Ran Mein Habib
Paigham Diya Duniya Ko Aj
Hum Apni Zaeefi Ky Badly
Mazhab Ko Jawani Dety Hain
Hum Madh E Ali Main Daar Py Bhi
Lafzon Ko Rawani Dety Hain
Qatil Ko Pilaya Haider Ny
Lashkar Ko Pilaya Sarwar Ny
Yeh Aisy Gharany Waly Hain
Dushman Ko Bhi Pani Dety Hain
Hum Madh E Ali Main Daar Py Bhi
Lafzon Ko Rawani Dety Hain
Abbas Ny Pani Chullu Sy
Dariya Ko Pila Kar Batlaya
Muthi Mein Hai Kausar Hum Khud Hi
Dariyaon Ko Pani Dety Hain
Hum Madh E Ali Main Daar Py Bhi
Lafzon Ko Rawani Dety Hain
Abbas Ki Turbat Ke Hi Qareeb
Pani Ny Thehar Kar Batlaya
Main Behta Hun Abbas Mujhy
Jab Izn E Rawani Dety Hain
Hum Madh E Ali Main Daar Py Bhi
Lafzon Ko Rawani Dety Hain
Islam Gawahi Deta Hai
Jab Jab Bhi Zaroorat Deen Ko Parhi
Ho Khoon Ya Daolat Sarwar Ky
Nana Aur Nani Dety Hain
Hum Madh E Ali Main Daar Py Bhi
Lafzon Ko Rawani Dety Hain
Jab Mainy Dua Un Sy Mangi
Asghar Ny Kaha Mat Ghabrao
Midhat Ka Sharaf Is Bachpan Mein
Hum Tum Ko Bhi Hani Dety Hain
Hum Madh E Ali Main Daar Py Bhi
Lafzon Ko Rawani Dety Hain