Teri Ummat Nay Meray Dar ko Jalaya Baba | Mir Hasan Mir | 2015-16

Teri Ummat Nay Meray Dar ko Jalaya Baba


Teri ummat ne Mere dar ko jalaya Baba haye
Phir wo jalta huwa dar mujhpe giraya Baba (saw)

Rakh ti shole the sehme huwe bacche ya duwa
Mere anghan mein tha ik sham e ghareeba ka sama
Dar hatha kar mujhe Fizza (sa) ne uthaya Baba

Haye lout kar aayi to chehra bhi mera zakhmi tha
Meri Zainab (sa) ko meri peshi ka pehla Noha
Mere balon ki safaidi ne sunaya Baba haye

Haye le chale qaidi bana kar jo Ali (as) ko dushmanMaine chora nahi Haider (as) ki aba ka damanTaziyanon ne magar mujhse churaya Baba

Haye bet kar parti hon mushkil se Namaze shab bhi
Phir bhi Abbas (as) ki khilqat ki dua bhooli nahi
Jab bhi zakhmi huwe haathon ko uthaya Baba haye

Zakhmi halat mein bhi dehleez se bahar ayiAur Ali un wali ullah bacha kar laayiEhd jo maine kiya tha wo nabaya Baba

Khud yeh dekha hai tere sheher ki deewaron ne
Aisi Gurbat thi ke hathon mein sitamgaron ne
Rasiya band ke Haider (as) ko piraya Baba

Haye jis jagha App ne ruk ruk ke Ijazat mangi
Wahan ghustakh musalmanon ne baiyyat mangi
Arey koi sholey to koi lakriya laya Baba

Arsh aur farsh pe mohsin huwa khohram bapa
Jis ghari ro ke wilayat ki shaheeda ne kaha
Haye mujhko has has ke zamane ne rulaya Baba..

Leave a Reply

error: Content is protected By the Owner of Nohay Lyrics !!