• Home
  • Ali jee
  • Abbas Na Lautey Lyrics Ali Jee And Ali Shanawar 2018

Abbas Na Lautey Lyrics Ali Jee And Ali Shanawar 2018

Share on facebook
Share on twitter
Share on linkedin
Share on whatsapp

Abbas Na Lautey Lyrics Ali Jee And Ali Shanawar 2018 – Ali Jee And Ali Shanawar Lyrics

Noha Khwan:Ali Jee And Ali Shanawar

Abbas na laute.. Abbas na laute
Maqtal ki zamee’n bhaa gayi
Abbas na laute
Sheh aa gaye, mashk aa gayi
Abbas na laute

Maqtal ki zamee’n bhaa gayi
Abbas na laute
Sheh aa gaye, mashk aa gayi
Abbas na laute

1. Iss shan se maqtal ko sidhara tha alamdaar..(2)
aada ki nazar khaa gayi.. abbas na laute
Sheh aa gaye, mashk aa gayi
Abbas na laute

2. Behta hua kaano se lahu, sukhe hue lab..(2)
dikhlane sakina gayi.. abbas na laute
Sheh aa gaye, mashk aa gayi
Abbas na laute

3. Deti rahi awaaz pe awaaz sakina..(2)
akhir ko qaza aagayi.. abbas na laute
Sheh aa gaye, mashk aa gayi
Abbas na laute

4. Kya janiye kyu rooth gaye, kehti thi zainab..(2)
rukhsat ki ghadi aagayi.. abbas na laute
Sheh aa gaye, mashk aa gayi
Abbas na laute

5. Paani ke liye mashk o alam leke gaye the..(2)
din dhal gaya raat aagayi.. abbas na laute
Sheh aa gaye, mashk aa gayi
Abbas na laute

6. Khaimo mein lagi aag to ammu ko bulane..(2)
masoom sakina gayi.. abbas na laute
Sheh aa gaye, mashk aa gayi
Abbas na laute

Maqtal ki zamee’n bhaa gayi
Abbas na laute
Sheh aa gaye, mashk aa gayi
Abbas na laute
Abbas na laute
Abbas na laute

Sardar e Karbala – Salam

Dukhty Ha Mara Kan Lyrics In Urdu | Kazmi Brothers

Bain Tha Sakina Ka – Salam