akbar ki sawari lyrics

Akbar Ki Sawari Lyrics | Ali Jee 2022

Akbar Ki Sawari Lyrics

Wa-waila hai waa-waila
Wa-waila hai waa-waila

“Na Ja Akbar Na Ja”
“Na Ja Akbar Na Ja”
khaimon se sada ye aati hai

Akbar ki sawari jaati hai
Akbar ki sawari jaati hai

Khaimon me bapa hai wawaila ×2
Akbar ki sawari jaati hai.

“Na Ja Akbar Na Ja”
“Na Ja Akbar Na Ja”
khaimon se sada ye aati hai ×2

Akbar ki sawaari jaati hai
Akbar ki sawaari jaati hai

Hum shakl e Payambar jata hai
dil baap ka dooba jaata hai,

Hum shakle Payambar jata hai
dil baap ka dooba jaata hai,
dil baap ka dooba jaata hai,
Sar peet rahi hai maañ dukhiya
Sar peet rahi hai maañ dukhiya

Akbar ki sawaari jaati hai

Khaimon me bapa hai wawaila ×2
Akbar ki sawaari jaati hai
Akbar ki sawaari jaati hai

18 baras naazoñ se jise
Parwaan chadhaya Zainab ne,

18 baras naazoñ se jise
Parwaan chadhaya Zainab ne,
Gulshan hai ujda Zainab ka ×2
Akabar ki sawari jaati hai.

Khaimon me bapa hai wawaila ×2
Akbar ki sawari jaati hai.

“Na Ja Akbar Na Ja”
“Na Ja Akbar Na Ja”
khaimon se sada ye aati hai

Akbar ki sawari jaati hai
Akbar ki sawari jaati hai

Kehti thi Sakina ro ro kar
Laut aao Bhai Ali Akbar,

Kehti thi Sakina ro ro kar
Laut aao Bhai Ali Akbar
Qadmoñ se lipti masooma ×2
Akbar sawari jaati hai.

Khaimon me bapa hai wawaila ×2

Akbar ki sawari jaati hai
Akbar ki sawari jaati hai

Akbar se sakina jab lipti
Shabbir ko sughra yaad aayi,

Akbar se sakina jab lipti
Shabbir ko sughra yaad aayi, ×2
Use kaise batayeñ ye baba ×2
Akbar ki sawari jaati hai

Khaimon me bapa hai wawaila ×2

Akbar ki saawari jaati hai
Akbar ki saawari jaati hai

“Na Ja Akbar Na Ja”
“Na Ja Akbar Na Ja”
khaimon se sada ye aati hai

Akbar ki sawari jaati hai.

Kuchh der ruko beta Akbar
Main tumko bana to looñ doolha,

Kuchh der ruko beta Akbar
Main tumko bana to looñ doolha, ×2
Afsos na raas aaya sehra ×2
Akbar sawari jaati hai.

Khaimon me bapa hai wawaila ×2

Akbar ki saawari jaati hai
Akbar ki saawari jaati hai

Teri yaad bahot tadpayegi
Maañ jeete ji mar jayegi,

Teri yaad bahot tadpayegi
Maañ jeete ji mar jayegi, ×2
Maadar ke laboñ par hai nauha ×2
Akbar ki saawari jaati hai

Khaimon me bapa hai wawaila ×2

Akbar ki saawari jaati hai
Akbar ki saawari jaati hai

“Na Ja Akbar Na Ja”
“Na Ja Akbar Na Ja”
khaimon se sada ye aati hai

Akbar ki saawari jaati hai.

Jaao Akbar, jaao Akbar

Shah kehte the jaao Akbar
Mujhe dekhte rahna mud mud kar,

Shah kehte the jaao Akbar
Mujhe dekhte rahna mud mud kar, ×2
Deta hai sada boodha baba ×2
Akbar ki saawari jaati.

Khaimon me bapa hai wawaila ×2

Akbar ki saawari jaati hai
Akbar ki saawari jaati hai

“Na Ja Akbar Na Ja”
“Na Ja Akbar Na Ja”
khaimon se sada ye aati hai

Akbar ki saawari jaati hai.

Wa-waila hai waa-waila
Wa-waila hai waa-waila

Leave a Reply

error: Content is protected By the Owner of Nohay Lyrics !!