Ya Zahra Ya Zahra Ya Zahra Ya Zahra
Mir Hassan Mir
Utri Hai Aj Fatima Zehra Zameen Par Kaisay Rahai Dimagh Zami’n Ka Zameen Per
Jibreel Kis Se Poch Ke Layega Ayatain
Zahra Yahin Hain Tu Bhi Thehar Jaa Zameen Per
Khud Ake Degi Mout Suna Ran Ko Zindagi
Han Zahra Bicha Rahi Hai Musalla Zameen Per
Wo Jaa Rahi Hai Arsh Pe Zahra Ki Rotiyan
Wo Aa Raha Hai Dehar Ka Surah Zameen Per
Zahra Ne Khud Dua Ko Uthaye Hain Apne Hath
Haan Abbas Tum Ko Ana Parega Zameen Per
Haan Jannat Se Karbala Ka Pata Puchti Hui
Adam Ke Sath Ai Hai Hawa Zameen Per
Bekar Hai Yeh Isko Jahannum Mai Bhej Do
Aray Ik Bhoj Hai Yeh Dushman e Zehra Zameen Per