Shareek e dawat e islam hain Abu Talib Lyrics
Shareek e dawat e islam hain Abu Talib a.s
Nabbi s.a.w.w ko Haq j.j ka ik Ina’am hain Abu Talib a.s
Hareem main Wahi Main ek Ilhaam hain Abu Talib a.s
Haram kay Azam Ka Ehraam hain Abu Talib a.s
Ye Chun Kay Laain Jo Ghunchay woh Phool Ho Jain
Phir inki Goud main Pal kar Rasool s.a.w.w ho Jain
Shareek e dawat e islam hain Abu Talib a.s
Rasool e Haq ke Nigahbaan hain Abu Talib a.s
Nabbi s.a.w.w hain Deen tou Eemaan hain Abu Talib a.s
Nazool e Wahi ka Unwaan hain Abu Talib a.s
Beghair Lafzoon ka Qura’an hain Abu Talib a.s
Ke Inhi ke Dam Se Hui Ibtida e Bismillah
Inhi ne Nuqta Diya Zer e Baaye Bismillah
Shareek e dawat e islam hain Abu Talib a.s
Payambari ki Balao’on ka Radd Abu Talib a.s
Madad Khuda ki Hai Shakl e Madad Abu Talib a.s
Nabbi s.a.w.w ki Dhaal Dam e Gird o Qad Abu Talib a.s
Nishana Khatm e Rusul Aur Zad Abu Talib a.s
Jihad Inka hai Pas Manzar e Jihad e Ali a.s
Ali a.s hain Baad main Inkay ye Pehlay Naad e Ali a.s
Shareek e dawat e islam hain Abu Talib a.s
Kahan hai Tang nazar ham se bhi tou aankh mila
Hai Inkay Kufr ka Dawa tou Kuch Suboot Bhi La
Koi tou Rasm Jihalat ki Inkay Ghar main Dikha
Ke Butto’n Ke Aagay Jhuka Inka Sar sar Apna Jhuka
Khuda Kay Noor Pe O Khaak Dalnay Walay
Ye Butt Shikan ko Hain Goudi Main Paalnay Walay
Shareek e dawat e islam hain Abu Talib a.s
Rasool s.a.w.w Inka bara Ehtaram Kartay Thay
Sawab e Deed Se Tanzeem e Aam Kartay Thay
Sehar ko Uthtay Hi Awwal ye Kaam Kartay Thy
Inhain Namaz se Pehly Salam Kartay Thay
Rasool Gar Kisi Kaafir ko Salami dain
Tou Phir Zaroor Nabowat Main Koi khami hai
Shareek e dawat e islam hain Abu Talib a.s
Na Janchiye ye Riwayat na Seerat o Kirdaar
Nabbi s.a.w.w ki Aankh se Ab Dekhiye inhain Ek baar
Ye Baar gaah e Risalat main Aap a.s ka Tha Muqaam
Pichharayn Kha ke Inhain Roy’e Ahmad e Mukhtaar s.a.w.w
Who Aam e Huzn Bana Inka Jab Wisaal Hua
Ye Gham Rasool s.a.w.w Ki Ummat Main Aik Saal Hua
Shareek e dawat e islam hain Abu Talib a.s
Ye Marnay Wala Gar Eemaan Hi na Laya tha
Tou Kia Rasool s.a.w.w NE Kaafir ka Gham Manaya Tha
Ye Khud bhi Roy’e Thay auron ko Bhi Rulaya tha
Zubaan Per Wa Abata Wa Abata Baar Baar Aaya Tha
Jita Dia Tha Ke Jo Mohsin e Risalat Hai
Tou Us Pe Rona Rulana Nabbi s.a.w.w Ki Sunnat Hai
Shareek e dawat e islam hain Abu Talib a.s
Ye Baat Gar ho Ijazat tou Pooch Loon Main Abhi
Hussain a.s ibn e Ali a.s Kia nahi thay Mohsin e Deen
Ham Unko Ro’yen To Phir Kyu ho Koi Che Ba Jabeen
Banay Thay Inka Tou Naqa Rasool e Arsh e Bareen
Hussain a.s So’ye Thay Jis Mursali ke Seenay Per
Ghazab Hai Shimar l.a Ka Zanu Ussi Ke Seenay Per
Shareek e dawat e islam hain Abu Talib a.s